Song: Koi haseena jab rooth
Film: Sholay
Music: R D Burman
Lyrics: Anand Bakshi
Singer: Kishore Kumar
Koi haseena jab rooth jaati hai to
Aur bhi haseen ho jaati hai... (2)
Tesan se gaadi jab chhoot jaati hai to
Ek do tin ho jaati hai
Haathon mein chaabukh, honthon pe gaaliyaan... (2)
Badi nakhre waaliyaan hoti hai taange waaliyaan
Koi taange waali jab rooth jaati hai to, hai to, hai to
Aur namkeen ho jaati hai
Koi haseena jab rooth jaati hai to
Aur bhi haseen ho jaati hai
Zulfon mein chaiyya, mukhde pe dhoop hai
Hey, zulfon mein chaiyya, mukhde pe dhoop hai
Bada mazadaar goriye yeh tera rang roop hai
Dor se patang jab toot jaati hai to, hai to, hai to
Rukh rangeen ho jaati hai
Koi haseena jab rooth jaati hai to
Aur bhi haseen ho jaati hai
Tesan se gaadi jab chhoot jaati hai to
Ek do tin ho jaati hai... (4)